koī chehra koī mahtāb dikhā.ī detā
niiñd aatī to koī ḳhvāb dikhā.ī detā
ḳhvāhisheñ ḳhālī ghaḌe sar pe uThā laa.ī haiñ
koī dariyā koī tālāb dikhā.ī detā
nisbat-e-husn mirā TaaT kā arzāñ sā badan
tere paivand se kamḳhāb dikhā.ī detā
Dūbne ko na samundar na koī chashm-e-siyah
aaj to jaam meñ girdāb dikhā.ī detā
phir mire paañv tale tuur kī miTTī hotī
phir mujhe jāda-e-asbāb dikhā.ī detā
is safedī phirī qabroñ ke nagar meñ mansūr
koī to zinda-o-shādāb dikhā.ī detā