manzil-e-jāñ ḳhud bichhātī jā rahī hai rāsta
jiip jañgal meñ banātī jā rahī hai rāsta
ek nā-mumkin pahāḌī rafta rafta haath se
mere paañv meñ girātī jā rahī hai rāsta
sochtā huuñ merī hastī kī ye pathrīlī saḌak
jañgaloñ se kyoñ milātī jā rahī hai rāsta
saath us ke saal bhar se chal rahā huuñ road par
apne ghar kā kyoñ baḌhātī jā rahī hai rāsta
pīchhe pīchhe paañv uThte jā rahe haiñ ishq meñ
aage aage vo batātī jā rahī hai rāsta
rah banātā jā rahā huuñ dasht meñ 'mansūr' maiñ
vaqt kī āñdhī uḌātī jā rahī hai rāsta