abhī hai dhyān kahāñ vasl ke farīzoñ par
abhī vo kāḌhtī phirtī hai dil qamīzoñ par
qayām kartā huuñ akasr maiñ dil ke kamre meñ
ki jam na jaa.e kahīñ gard us kī chīzoñ par
yahī to log masīhā haiñ zindagānī ke
hazār rahmateñ hoñ ishq ke marīzoñ par
kisī anār-kalī ke ḳhayāl meñ ab tak
ġhulām-gardisheñ mātam-kunāñ kanīzoñ par
jalā rahī hai mire bādaloñ ke pairāhan
phuvār girtī huī malmalīñ qamīsoñ par
ġhazal kahī hai kisī be-charāġh lamhe meñ
shab-e-firāq ke kājal-zada azīzoñ par
ki kis dayār meñ rahnā hai kis ne kitne din
musāfiroñ ke ye likkhā gayā hai visoñ par
vo ġhaur kartī rahī hai tamām din 'mansūr'
mire libās kī uljhī huī krīzoñ par