Mansoor Aafaque

sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah

Mansoor Aafaque

United Kingdom

1962
sard ThiThurī huī lipTī huī sarsar kī tarah
zindagī mujh se milī pichhle december kī tarah
kis tarah dekhnā mumkin thā kisī aur taraf
maiñ ne dekhā hai tujhe āḳhirī manzar kī tarah
haath rakh lams bharī tez nazar ke aage
chīrtī jaatī hai siina mirā ḳhanjar kī tarah
bārisheñ us kā lab-o-lahja pahan letī thiiñ
shor kartī thī vo barsāt meñ jhāñjhar kī tarah
kachchī miTTī kī mahak oḌh ke itrātī thī
maiñ use dekhtā rahtā thā samundar kī tarah
pallū girtā huā saaḌī kā uThā kar 'mansūr'
chaltī hai chhalkī huī duudh kī gāgar kī tarah
Top Urdushayar.com