vo lapeT kar niklī tauliye meñ baal apne
buuñd buuñd bikhre the har taraf ḳhayāl apne
ko.ele kī Dherī par baiTh kar kahā us se
zindagī ke chūlhe meñ jal rahe haiñ saal apne
dosto kisī ne kyā kholne kī ḳhvāhish meñ
jaan ke attachi meñ bhar diye jamāl apne
pūchhtī ho hijrāñ kī kaifiyat kidhar ġham hai
martabān meñ shāyad band haiñ malāl apne
koī aag kā bosa hai kahīñ pe ḳhvāboñ meñ
ham ne apne māthe par likh diye savāl apne
chāhte the sūraj kī dhuup dekhnā lekin
us ne oḌh rakkhī thī chāroñ or shaal apne
qatl to Darāme kā act thā koī 'mansūr'
kis liye lahū se haiñ donoñ haath laal apne