jitne motī gire aañkh se jitnā terā ḳhasārā huā
dast-basta tujhe kah rahe haiñ vo saarā hamārā huā
aa girā zinda shamshān meñ lakḌiyoñ kā dhuāñ dekh kar
ik musāfir parinda ka.ī sard rātoñ kā maarā huā
ham ne dekhā use bahte sapne ke arshe pe kuchh der tak
phir achānak chahakte samundar kā ḳhālī kinārā huā
jā rahā hai yūñhī bas yūñhī manzileñ pusht par bāñdh kar
ik safar-zād apne hī naqsh-e-qadam par utārā huā
zindagī ik juā-ḳhāna hai jis kī fōtpath par apnā dil
ik purānā juārī musalsal ka.ī din kā haarā huā
tum jise chāñd kā chāñd kahte ho 'mansūr-āfāq' vo
ek lamha hai kitne musībat-zadoñ kā pukārā huā