patthar ke ratjage mirī palkoñ meñ gaaḌ ke
rakh diiñ tire firāq ne āñkheñ ujaaḌ ke
itnī tavīl apnī masāfat nahīñ magar
mushkil-mizāj hote haiñ raste pahāḌ ke
āñkhoñ se ḳhadd-o-ḳhāl nikāle na jā sake
har-chand pheñk dī tirī tasvīr phaaḌ ke
ye bholpan nahīñ hai ki sūraj ke ās-pās
rakkhe ga.e haiñ dā.ere kāñToñ kī baaḌ ke
miTTī meñ mil ga.ī hai tamannā milāp kī
kuchh aur gir paḌe haiñ kināre darāḌ ke
be-mehr mausamoñ ko nahīñ jāntā abhī
ḳhush hai jo sā.ebāñ se ta.alluq bigāḌ ke
patthar ke jism meñ tujhe itnā kiyā talāsh
'mansūr' Dher lag ga.e ghar meñ kabāḌ ke