bekār ga.ī aaḌ tire parda-e-dar kī
allāh-re vus.at mire āġhosh-e-nazar kī
pī shauq se vaa.iz are kyā baat hai Dar kī
dozaḳh tire qabze meñ hai jannat tire ghar kī
īmān kī daulat se tire husn kā saudā
īmān kī daulat hai tirī ek nazar kī
aa jaa.e tasavvur meñ koī hashr-ba-dāmāñ
phir merī shab-e-ġham ko zarūrat hai sahar kī
vo sāmne haiñ phir bhī unheñ DhūñDh rahā huuñ
āḳhir koī had bhī hai hijābāt-e-nazar kī
tanhā.ī-e-furqat meñ jo aalam hai idhar kā
hañgāma-e-mahfil meñ vo hālat hai udhar kī
kuchh sahl na paa.e haiñ mohabbat ke marātib
chhānī hai bahut ḳhaak tirī rāh-guzar kī