nigāh-e-nāz kā ik vaar kar ke chhoḌ diyā
dil-e-harīf ko bedār kar ke chhoḌ diyā
huī to hai yūñhī tardīd-e-ahd-e-lutf-o-karam
dabī zabān se iqrār kar ke chhoḌ diyā
chhupe kuchh aise ki tā-zīst phir na aa.e nazar
rahīn-e-hasrat-e-dīdār kar ke chhoḌ diyā
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thī lekin
kisī ne mujh ko giraftār kar ke chhoḌ diyā
nazar ko jur.at-e-takmīl-e-bandagī na huī
tavāf-e-kūcha-e-dil-dār kar ke chhoḌ diyā
ḳhushā vo kashmakash-e-rabt-e-bāhamī jis ne
dil o dimāġh ko be-kār kar ke chhoḌ diyā
zahe-nasīb ki duniyā ne tere ġham ne mujhe
masarratoñ kā talabgār kar ke chhoḌ diyā
karam kī aas meñ ab kis ke dar pe jaa.e 'shakīl'
jab aap hī ne gunahgār kar ke chhoḌ diyā