Shakeel Badayuni

aankhon se dur subh ke tare chale gae

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
āñkhoñ se duur sub.h ke taare chale ga.e
niiñd aa ga.ī to ġham ke nazāre chale ga.e
dil thā kisī kī yaad meñ masrūf aur ham
shīshe meñ zindagī ko utāre chale ga.e
allāh re be-ḳhudī ki ham un ke hī rū-ba-rū
be-iḳhtiyār unhī ko pukāre chale ga.e
mushkil thā kuchh to aish kī baazī kā jītnā
kuchh jītne ke ḳhauf se haare chale ga.e
nākāmī-e-hayāt kā karte bhī kyā gila
do din guzārnā the guzāre chale ga.e
tarġhīb-e-tark-e-shauq ke parde meñ ġham-gusār
har naqsh-e-ārzū ko ubhāre chale ga.e
pahuñchā.ī kis ne dāvat-e-mai ahl-e-zohd ko
shāyad tirī nazar ke ishāre chale ga.e
vo dil harīf-e-jalva-e-firdaus ban gayā
jis dil meñ tere ġham ke sharāre chale ga.e
un ke baġhair ziist ba-har-hāl ziist thī
jaisī guzārnī thī guzāre chale ga.e
jalve kahāñ jo zauq-e-tamāshā nahīñ 'shakīl'
nazreñ chalī ga.iiñ to nazāre chale ga.e
Top Urdushayar.com