jalva-e-husn-e-karam kā aasrā kartā huuñ maiñ
jo ḳhatā mumkin hai mujh se be-ḳhatā kartā huuñ maiñ
jab subūhī le ke vird-e-marhabā kartā huuñ maiñ
zindagī ko niiñd se chauñkā diyā kartā huuñ maiñ
haa.e vo aalam ki jab har shai se ghabrātā huuñ maiñ
aap hī apnī nigāhoñ se bachā kartā huuñ maiñ
vo bhī kyā din the ki thā pīne-pilāne hī se kaam
haa.e ab chaar āñsuoñ par iktifā kartā huuñ maiñ
dilrubā hote haiñ jin ke āḳhirī lamhāt-e-zīst
aksar un phūloñ se dāman bhar liyā kartā huuñ maiñ
dekhne vaale mirī ḳhāmoshī-e-lab ko na dekh
āñkhoñ āñkhoñ meñ fasāna kah diyā kartā huuñ maiñ
maz.har-e-husn-e-talab hogī nigāh-e-be-talab
mudda.ā ye hai ki tark-e-mudda.ā kartā huuñ maiñ
sirf is dhun meñ ki ta.amīr-e-mohabbat sahal ho
jaane kin kin mushkiloñ kā sāmnā kartā huuñ maiñ
dil laraz jaatā hai sun kar har sitāre kā 'shakīl'
chāñd se tanhā.iyoñ meñ kuchh kahā kartā huuñ maiñ