Shakeel Badayuni

meri barbaadi ko chashm-e-moatabar se dekhiye

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
merī barbādī ko chashm-e-mo'atabar se dekhiye
'mīr' kā dīvān 'ġhālib' kī nazar se dekhiye
muskurā kar yuuñ na apnī rahguzar se dekhiye
jis taraf merī nazar chāhe udhar se dekhiye
haiñ dalīl-e-kam-nigāhī iḳhtilāfāt-e-nazar
zindagī kā ek hī ruḳh hai jidhar se dekhiye
bharte rahte haiñ jahannam zindagī ke chārasāz
dushman-e-jāñ haiñ agar gahrī nazar se dekhiye
mere ġham-ḳhāne ke chāroñ samt haiñ daulat-kade
zindagī kī bhiik miltī hai kidhar se dekhiye
fitratan har aadmī hai tālib-e-amn-o-amāñ
dushmanoñ ko bhī mohabbat kī nazar se dekhiye
bhej dī tasvīr apnī un ko ye likh kar 'shakīl'
aap kī marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye
Top Urdushayar.com