ab tak shikāyateñ haiñ dil-e-bad-nasīb se
ik din kisī ko dekh liyā thā qarīb se
aksar ba-zom-e-tark-e-mohabbat ḳhudā gavāh
guzrā chalā gayā huuñ dayār-e-habīb se
dast-e-ḳhizāñ ne baḌh ke vahīñ us ko chun liyā
jo phuul gir gayā nigah-e-andalīb se
ahl-e-sukūñ se khel na ai mauj-e-imbisāt
ik din ulajh ke dekh kisī ġham-nasīb se
na ahl-e-nāz ko bhī mile fursat-e-niyāz
maiñ duur haT gayā jo vo guzre qarīb se
ye kis ḳhatā pe ruuTh ga.ī chashm-e-iltifāt
ye kab kā intiqām liyā mujh ġharīb se
un ke baġhair bhī hai vahī zindagī kā daur
hālāt-e-zindagī haiñ magar kuchh ajiib se
samjhe hue the husn-e-azal jis ko ham 'shakīl'
apnā hī aks-e-ruḳh nazar aayā qarīb se