raushnī sāya-e-zulmāt se aage na baḌhī
zindagī sham.a kī ik raat se aage na baḌhī
apnī hastī kā bhī insān ko irfāñ na huā
ḳhaak phir ḳhaak thī auqāt se aage na baḌhī
naam bad-nām huā sinf-e-ġhazal kā lekin
shā.irī rasm-o-rivāyāt se aage na baḌhī
be-takalluf huī tajdīd-e-mulāqāt magar
vo bhī ik tishna mulāqāt se aage na baḌhī
zulf-bar-dosh vo ik baar to aa.e the 'shakīl'
phir koī raat bhī us raat se aage na baḌhī