Shakeel Badayuni

mausam-e-gul sath le kar barq o dam aa hi gaya

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
mausam-e-gul saath le kar barq o daam aa hī gayā
yaanī ab ḳhatre meñ gulshan kā nizām aa hī gayā
vo nigāh-e-mast uThī gardish meñ jaam aa hī gayā
yaanī vaqt-e-imtiyāz-e-ḳhās-o-ām aa hī gayā
jo uThā karte the iz.hār-e-taqaddus ke liye
un larazte kāñpte hāthoñ meñ jaam aa hī gayā
nuur o zulmat par tabassum kufr o diiñ par qahqahe
zindagī ko nashsha-e-umr-e-davām aa hī gayā
pāsbāñ karte rahe sargoshiyāñ hī aur kuchh
un kī mahfil se ba-izz-o-ehtarām aa hī gayā
jaane kin nazroñ se dekhā aaj saaqī ne mujhe
maiñ to ye samjhā ki mujh tak daur-e-jām aa hī gayā
ab isī ko zindagī kah lījiye yā sub.h-e-marg
aañkh kholī thī ki sar par vaqt-e-shām aa hī gayā
tark-e-mai ko muddateñ guzrī haiñ lekin mohtasib
sāqi-e-mehvash agar ātish-ba-jām aa hī gayā
haa.e ye aalam ki ab tark-e-vafā ke baad bhī
dil meñ huuk uTThī na uTThī lab pe naam aa hī gayā
lazzat-e-rañgīni-e-ash.ār kyā kahiye 'shakīl'
kuchh na kuchh ahbāb ko lutf-e-kalām aa hī gayā
Top Urdushayar.com