Shakeel Badayuni

meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
mirā kufr hāsil-e-zohd hai mirā zohd hāsil-e-kufr hai
mirī bandagī vo hai bandagī jo rahīn-e-dair-o-haram nahīñ
mujhe raas aa.eñ ḳhudā kare yahī ishtibāh kī sā.ateñ
unheñ aitabār-e-vafā to hai mujhe aitabār-e-sitam nahīñ
vahī kārvāñ vahī rāste vahī zindagī vahī marhale
magar apne apne maqām par kabhī tum nahīñ kabhī ham nahīñ
na vo shān-e-jabr-e-shabāb hai na vo rañg-e-qahr-e-itāb hai
dil-e-be-qarār pe in dinoñ hai sitam yahī ki sitam nahīñ
na fanā mirī na baqā mirī mujhe ai 'shakīl' na DhūñDhiye
maiñ kisī kā husn-e-ḳhayāl huuñ mirā kuchh vajūd o adam nahīñ
Top Urdushayar.com