Shakeel Badayuni

zauq-e-gunah o azm-e-pasheman liye hue

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
zauq-e-gunāh o azm-e-pashemāñ liye hue
kyā kyā hunar haiñ hazrat-e-insāñ liye hue
kufr o ḳhirad ko raas na aa.egī zindagī
jab tak junūñ hai mish.al-e-insāñ liye hue
huuñ un ke sāmne magar un par nazar nahīñ
sa.ī-e-talab hai azm-e-gurezāñ liye hue
dil ko sukūn-e-pasti-e-sāhil se kyā ġharaz
har azm hai bulandī-e-tūfāñ liye hue
gulshan ke dil meñ aaj bhī mahfūz haiñ vo phuul
murjhā ga.e jo dāġh-e-bahārāñ liye hue
aa hī ga.e vo arz-e-nadāmat ko ai 'shakīl'
lālīñ laboñ pe ḳhanda-e-giryāñ liye hue
Top Urdushayar.com