Shakeel Badayuni

junun se guzarne ko ji chahta hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
junūñ se guzarne ko jī chāhtā hai
hañsī zabt karne ko jī chāhtā hai
jahāñ ishq meñ Duub kar rah ga.e haiñ
vahīñ phir ubharne ko jī chāhtā hai
vo ham se ḳhafā haiñ ham un se ḳhafā haiñ
magar baat karne ko jī chāhtā hai
hai muddat se be-rañg naqsh-e-mohabbat
koī rañg bharne ko jī chāhtā hai
ba-īñ ḳhud-sarī vo ġhurūr-e-mohabbat
unheñ sajda karne ko jī chāhtā hai
qazā muzhda-e-zindagī le ke aa.e
kuchh is tarah marne ko jī chāhtā hai
nizām-e-do-ālam kī ho ḳhair yā-rab
phir ik aah karne ko jī chāhtā hai
gunāh-e-mukarrar 'shakīl' allāh allāh
bigaḌ kar sañvarne ko jī chāhtā hai
Top Urdushayar.com