Shakeel Badayuni

ek ik qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ik ik qadam fareb-e-tamannā se bach ke chal
duniyā kī aarzū hai to duniyā se bach ke chal
ḳhud DhūñDh legā tujh ko tirā munfarid maqām
rāh-e-talab meñ naqsh-e-kaf-e-pā se bach ke chal
baaqī hai mere dil meñ abhī azmat-e-vajūd
qatre se kah rahā huuñ ki dariyā se bach ke chal
miltī nahīñ hai rāh-e-sukūñ ḳhauf-o-yās meñ
gulshan kī justujū hai to sahrā se bach ke chal
muñh jāda-e-vafā se na moḌ ai vafā-shi.ār
lekin hudūd-e-chashm-e-tamāshā se bach ke chal
kitnī hasīñ haiñ un ke sitam kī masarrateñ
shukr-e-karam kī zahmat-e-be-jā se bach ke chal
lamhe udaas udaas fazā.eñ ghuTī ghuTī
duniyā agar yahī hai to duniyā se bach ke chal
apne adab pe naaz hai tujh ko agar 'shakīl'
maġhrib-zadā adiib kī duniyā se bach ke chal
Top Urdushayar.com