abhī jazba-e-shauq kāmil nahīñ hai
ki begāna-e-ārzū dil nahīñ hai
koī parda-e-rāz haa.il nahīñ hai
sitam hai vo phir bhī muqābil nahīñ hai
sar āñkhoñ pe nairañgi-e-bazm-e-ālam
jise ḳhauf-e-ġham ho ye vo dil nahīñ hai
masarrat-ba-dāmāñ huuñ sailāb-e-ġham meñ
koī mauj mahrūm-e-sāhil nahīñ hai
mohabbat se bach kar kahāñ jā.iyegā
talātum hai āġhosh-e-sāhil nahīñ hai
vo kis nāz-o-andāz se kah rahe haiñ
'shakīl' ab mohabbat ke qābil nahīñ hai