nazar se qaid-e-ta.ayyun uThā.ī jaatī hai
tajallī-e-ruḳh-e-jānāñ dikhā.ī jaatī hai
jab un ko hausla-e-dil pe e'tibār nahīñ
to phir nazar se nazar kyuuñ milā.ī jaatī hai
ḳhum-o-subū kī zarūrat ke ham nahīñ qaa.il
sharāb mast nazar se pilā.ī jaatī hai
sitam-navāzī-e-paiham hai ishq kī fitrat
fuzūl husn pe tohmat lagā.ī jaatī hai
bhulā diyā hai ġham-e-rozgār ne jis ko
vo dāstāñ mujhe phir yaad aa.ī jaatī hai
'shakīl' dūrī-e-manzil se nā-umīd na ho
ab aa.ī jaatī hai manzil ab aa.ī jaatī hai