vo ham se duur hote jā rahe haiñ
bahut maġhrūr hote jā rahe haiñ
bas ik tark-e-mohabbat ke irāde
hameñ manzūr hote jā rahe haiñ
manāzir the jo firdaus-e-tasavvur
vo sab mastūr hote jā rahe haiñ
badaltī jā rahī hai dil kī duniyā
na.e dastūr hote jā rahe haiñ
bahut maġhmūm the jo dīda-o-dil
bahut masrūr hote jā rahe haiñ
vafā par murdanī sī chhā chalī hai
sitam kā nuur hote jā rahe haiñ
kabhī vo paas aa.e jā rahe the
magar ab duur hote jā rahe haiñ
firāq o hijr ke tārīk lamhe
sarāpā nuur hote jā rahe haiñ
'shakīl' ehsās-e-gumnāmī se kah do
ki ham mash.hūr hote jā rahe haiñ