haa.e is majbūrī-e-zauq-e-nazar ko kyā karūñ
vo mujhe dekheñ na dekheñ maiñ unheñ dekhā karūñ
husn ke husn-e-nadāmat kā taqāzā hai ki aaj
sidq-e-dil se phir yaqīn-e-vāda-e-fardā karūñ
maiñ ne maanā zāmin-e-taskīn-e-dil hai tark-e-shauq
lekin apne vāqi.āt-e-zindagī ko kyā karūñ
zindagī shāyad azā.em-parvarī kā naam hai
sochtā huuñ har-nafas ab kyā karūñ ab kyā karūñ