zindagī kā dard le kar inqalāb aayā to kyā
ek doshīza pe ġhurbat meñ shabāb aayā to kyā
tishna-e-anvār hai ab tak urūs-e-zindagī
bādaloñ kī pālkī meñ āftāb aayā to kyā
ab to āñkhoñ par ġham-e-hastī ke parde paḌ ga.e
ab koī husn-e-mujassam be-naqāb aayā to kyā
phir vahī johd-e-musalsal phir vahī fikr-e-ma.āsh
manzil-e-jānāñ se koī kāmyāb aayā to kyā
ik tajallī se munavvar kījiye qasr-e-hayāt
har tajallī par dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā to kyā
baat jab hai ġham ke māroñ ko jilā de ai 'shakīl'
tū ye zinda mayyateñ miTTī meñ daab aayā to kyā