jab kabhī ham tire kūche se guzar jaate haiñ
lauh-e-idrāk pe kuchh aur ubhar jaate haiñ
husn se lījiye tanzīm-e-do-ālam kā sabaq
sub.h hotī hai to gesū bhī sañvar jaate haiñ
ham ne paayā hai mohabbat kā ḳhumār-e-abadī
kaise hote haiñ vo nashshe ki utar jaate haiñ
itne ḳhā.if haiñ mai-o-mah se janāb-e-vā.iz
nām-e-kausar bhī jo sunte haiñ to Dar jaate haiñ
mai-kada band muqaffal haiñ dar-e-dair-o-haram
dekhnā hai ki 'shakīl' aaj kidhar jaate haiñ