aadmī na itnā bhī duur ho zamāne se
sub.h ko judā samjhe shaam ke fasāne se
dekh tiflak-e-nādāñ qadr kar buzurgoñ kī
gutthiyāñ na suljheñgī maz.haka uḌāne se
zaḳhm-e-sar ke dīvāne zaḳhm-e-dil kā qaa.il ho
zindagī sañvartī hai dil pe choT khāne se
mutrib-e-junūñ-sāmāñ tū na chheḌ ye naġhma
dhun ḳharāb hotī hai tere gungunāne se
garmī-e-suḳhan se kuchh kaam ban nahīñ saktā
mil hī jā.egī manzil do-qadam baḌhāne se