mirī zindagī hai zālim tire ġham se āshkārā
tirā ġham hai dar-haqīqat mujhe zindagī se pyārā
vo agar burā na māneñ to jahān-e-rañg-o-bū meñ
maiñ sukūn-e-dil kī ḳhātir koī DhūñDh luuñ sahārā
mujhe tujh se ḳhaas nisbat maiñ rahīn-e-mauj-e-tūfāñ
jinheñ zindagī thī pyārī unheñ mil gayā kinārā
mujhe aa gayā yaqīñ sā ki yahī hai merī manzil
sar-e-rāh jab kisī ne mujhe daf.atan pukārā
ye ḳhunuk ḳhunuk havā.eñ ye jhukī jhukī ghaTā.eñ
vo nazar bhī kyā nazar hai jo samajh na le ishāra
maiñ batā.ūñ farq nāseh jo hai mujh meñ aur tujh meñ
mirī zindagī talātum tirī zindagī kinārā
mujhe faḳhr hai isī par ye karam bhī hai mujhī par
tirī kam-nigāhiyāñ bhī mujhe kyuuñ na hoñ gavārā
mujhe guftugū se baḌh kar ġham-e-izn-e-guftugū hai
vahī baat pūchhte haiñ jo na kah sakūñ dobāra
koī ai 'shakīl' pūchhe ye junūñ nahīñ to kyā hai
ki usī ke ho ga.e ham jo na ho sakā hamārā