kahīñ husn kā taqāzā kahīñ vaqt ke ishāre
na bachā sakeñge dāman ġham-e-zindagī ke maare
shab-e-ġham kī tīrgī meñ mirī aah ke sharāre
kabhī ban ga.e haiñ aañsū kabhī ban ga.e haiñ taare
na ḳhalish rahī vo mujh meñ na kashish rahī vo mujh meñ
jise zo.am-e-āshiqī ho vahī ab tujhe pukāre
jinheñ ho sakā na hāsil kabhī kaif-e-qurb-e-manzil
vahī do-qadam haiñ mujh ko tirī justujū se pyāre
maiñ 'shakīl' un kā ho kar bhī na pā sakā huuñ un ko
mirī tarah zindagī meñ koī jiit kar na haare