Shakeel Badayuni

hazar qaid-e-KHizan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
hazār qaid-e-ḳhizāñ se chhuT kar bahār kā aasrā kareñge
bahār bhī ham-qafas-zadoñ ko na raas aa.ī to kyā kareñge
ab aur us ke sivā na hogī qafas meñ taskīn-e-dil kī sūrat
chaman kī jānib nazar uThā kar kabhī kabhī hans liyā kareñge
ye kyā ḳhabar thī ki shām-e-furqat mire liye sāzgār hogī
vo māh-o-anjum kī aaḌ le kar mire fasāne sunā kareñge
hamāre mashrab meñ thī na jaa.ez dar-e-haram kī ye jubba-sā.ī
ye farz-e-nā-ḳhushgavār lekin ab un kī ḳhātir adā kareñge
nigāh kī bandisheñ salāmat junūñ kī pābandiyāñ musallam
kahīñ bharam khul gayā to ai dil maiñ kyā karūñgā vo kyā kareñge
ye dekhnā hai ki ba.ad tark-e-ta.alluqāt ai 'shakīl' kab tak
na koī ham par jafā karegā na ham kisī se vafā kareñge
Top Urdushayar.com