ġham-e-ishq rah gayā hai ġham-e-justujū meñ Dhal kar
vo nazar se chhup ga.e haiñ mirī zindagī badal kar
tirī guftugū ko nāseh dil-e-ġham-zadā se jal kar
abhī tak to sun rahā thā magar ab sambhal sambhal kar
na milā surāġh-e-manzil kabhī umr bhar kisī ko
nazar aa ga.ī hai manzil kabhī do qadam hī chal kar
ġham-e-umr-e-muḳhtasar se abhī be-ḳhabar haiñ kaliyāñ
na chaman meñ pheñk denā kisī phuul ko masal kar
haiñ kisī ke muntazir ham magar ai umīd-e-mub.ham
kahīñ vaqt rah na jaa.e yūñhī karvaTeñ badal kar
mire dil ko raas aayā na jumūd-o-ġhair-fānī
milī rāh-e-zindagānī mujhe ḳhaar se nikal kar
mirī tez-gāmiyoñ se nahīñ barq ko bhī nisbat
kahīñ kho na jaa.e duniyā mire saath saath chal kar
kabhī yak-ba-yak tavajjoh kabhī daf.atan taġhāful
mujhe aazmā rahā hai koī ruḳh badal badal kar
haiñ 'shakīl' zindagī meñ ye jo vus.ateñ numāyāñ
inhīñ vus.atoñ se paidā koī ālam-e-ġhazal kar