Shakeel Badayuni

numayan donon jaanib shan-e-fitrat hoti jati hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
numāyāñ donoñ jānib shān-e-fitrat hotī jaatī hai
unheñ mujh se mujhe un se mohabbat hotī jaatī hai
mirī shām-e-alam sub.h-e-masarrat hotī jaatī hai
ki har lahza tire milne kī sūrat hotī jaatī hai
nigāheñ muztarib utrā huā chehra zabāñ sākit
jo thī apnī vahī ab un kī hālat hotī jaatī hai
na kyuuñ hoñ is adā par ishq kī ḳhuddāriyāñ sadqe
unheñ rūdād-e-ġham sun sun ke hairat hotī jaatī hai
kahīñ rāz-e-mohabbat āsmāñ par bhī na khul jaa.e
mujhe āh-o-fuġhāñ karne kī aadat hotī jaatī hai
mohabbat hī meñ milte haiñ shikāyat ke maze paiham
mohabbat jitnī baḌhtī hai shikāyat hotī jaatī hai
'shakīl' un kī judā.ī meñ hai lutf-e-zindagī zaa.il
nazar be-kaif afsurda tabī.at hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com