shab kī bahār sub.h kī nudrat na pūchhiye
kitnā hasīñ hai ḳhvāb-e-mohabbat na pūchhiye
phūloñ kī ġham-rasīda masarrat na pūchhiye
zāhir meñ ḳhanda-zan haiñ haqīqat na pūchhiye
vo din ga.e ki thī mujhe pursish kī aarzū
mahbūb ho ke ab mirī hālat na pūchhiye
hāthoñ se dil ke chhūT gayā dāman-e-umīd
kyā mil gayā javāb shikāyat na pūchhiye
dil ko na hogī tāb-e-ġham-e-be-tavajjohī
lillāh dāstān-e-mohabbat na pūchhiye
yuuñ dekhte haiñ jaise udhar dekhte nahīñ
us lutf-e-be-ġharaz kī nazākat na pūchhiye