sub.h kā afsāna kah kar shaam se
kheltā huuñ gardish-e-ayyām se
un kī yaad un kī tamannā un kā ġham
kaT rahī hai zindagī ārām se
ishq meñ ā.eñgī vo bhī sā.ateñ
kaam niklegā dil-e-nākām se
laakh maiñ dīvāna-e-rusvā sahī
phir bhī ik nisbat hai tere naam se
sub.h-e-gulshan dekhiye kyā gul khilā.e
kuchh havā badlī huī hai shaam se
haa.e merā mātam-e-tishna-labī
shīsha mil kar ro rahā hai jaam se
be-ḳhudī par shāyad us kā bas nahīñ
josh aa jaatā hai un ke naam se
har-nafas mahsūs hotā hai 'shakīl'
aa rahe haiñ nāma-o-paiġhām se