har gosha-e-nazar meñ samā.e hue ho tum
jaise ki mire sāmne aa.e hue ho tum
merī nigāh-e-shauq pe chhā.e hue ho tum
jalvoñ ko ḳhud hijāb banā.e hue ho tum
kyuuñ ik taraf nigāh jamā.e hue ho tum
kyā raaz hai jo mujh se chhupā.e hue ho tum
dil ne tumhāre husn ko baḳhshī haiñ rif.ateñ
dil ko magar nazar se girā.e hue ho tum
ye jo niyāz-e-ishq kā ehsās hai tumheñ
shāyad kisī ke naaz uThā.e hue ho tum
yā mehrbāniyoñ ke hī qābil nahīñ huuñ maiñ
yā vāqa.ī kisī ke sikhā.e hue ho tum
ab imtiyāz-e-parda-o-jalva nahīñ mujhe
chehre se kyuuñ naqāb uThā.e hue ho tum
uf re sitam 'shakīl' ye hālat to ho ga.ī
ab bhī karam kī aas lagā.e hue ho tum