aañkh un ko dekhtī hai nazārā kiye baġhair
parde meñ chhup ga.e haiñ vo parda kiye baġhair
har-chand dard-e-ishq kā darmāñ nahīñ magar
bantī nahīñ hai fikr-e-mudāvā kiye baġhair
zāhid se pūchhiye ġham-e-duniyā kī azmateñ
uqbā na mil sakī ġham-e-duniyā kiye baġhair
jaate haiñ dil meñ chhoḌ ke vo jalva-e-ḳhayāl
bujhtī hai sham.a ghar meñ añdherā kiye baġhair
aksar to dil giraftagī-e-shauq kī qasam
mujh tak vo aa ga.e haiñ irāda kiye baġhair
ham ko bhī dekhnā hai ki ye munkarīn-e-ishq
kab tak raheñge terī tamannā kiye baġhair
sher-o-adab kī raah meñ hai gāmzan 'shakīl'
apne muḳhālifīn kī parvā kiye baġhair