āḳhirī vaqt hai āḳhirī saañs hai zindagī kī hai shaam āḳhirī āḳhirī
sañg-dil aa bhī jā ab ḳhudā ke liye lab pe hai terā naam āḳhirī āḳhirī
kuchh to āsān hogā adam kā safar un se kahnā tumheñ DhūñDhtī hai nazar
nāma-bar tū ḳhudārā na ab der kar de de un ko payām āḳhirī āḳhirī
tauba kartā huuñ kal se piyūñgā nahīñ mai-kashī ke sahāre jiyūñgā nahīñ
merī tauba se pahle magar sāqiyā sirf de ek jaam āḳhirī āḳhirī
mujh ko yāroñ ne nahlā ke kafnā diyā do ghaḌī bhī na biitī ki dafnā diyā
kaun kartā hai ġham TūTte hī ye dam kar diyā intizām āḳhirī āḳhirī
jīte-jī qadr merī kisī ne na kī zindagī bhī mirī bevafā ho ga.ī
duniyā vaalo mubārak ye duniyā tumheñ kar chale ham salām āḳhirī āḳhirī