Shakeel Badayuni

dil lazzat-e-nigah karam pa ke rah gaya

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
dil lazzat-e-nigāh karam pā ke rah gayā
kitnā hasīn ḳhvāb nazar aa ke rah gayā
lab tak shikāyat-e-ġham-e-dil lā ke rah gayā
un kī nadāmatoñ pe maiñ sharmā ke rah gayā
mere dil-e-tabāh kā aalam na pūchhiye
ik phuul thā jo khilte hī murjhā ke rah gayā
manzil se duur rahrav-e-manzil thā mutma.in
manzil qarīb aa.ī to ghabrā ke rah gayā
shorīdgī-e-nāla-e-gustāḳh kyā kahūñ
is qalb-e-nāznīñ ko bhī taḌpā ke rah gayā
be-gāna-vār jab vo guzarte chale ga.e
kuchh be-qarār dil mujhe samjhā ke rah gayā
un ke huzūr lab to mukarrar na khul sake
rūdād-e-ġham nigāh se dohrā ke rah gayā
yuuñ ḳhatm dāstān-e-mohabbat huī 'shakīl'
jaise koī hasīn ġhazal gā ke rah gayā
Top Urdushayar.com