Shakeel Badayuni

na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
na paimāne khanakte haiñ na daur-e-jām chaltā hai
na.ī duniyā ke rindoñ meñ ḳhudā kā naam chaltā hai
ġham-e-ishq se haiñ ġham-e-hastī ke hañgāme judā lekin
vahāñ bhī din guzarte haiñ yahāñ bhī kaam chaltā hai
chhupe haiñ laakh haq ke marhale gum-nām hoñToñ par
usī kī baat chal jaatī hai jis kā naam chaltā hai
junūn-e-rah-ravī-e-vaqt kī raftār se pūchho
koī manzil nahīñ lekin ye sub.h o shaam chaltā hai
'shakīl'-e-mast ko mastī meñ jo kahnā hai kahne do
ye mai-ḳhāna hai ai vaa.iz yahāñ sab kaam chaltā hai
Top Urdushayar.com