koī aarzū nahīñ hai koī mudda.ā nahīñ hai
tirā ġham rahe salāmat mire dil meñ kyā nahīñ hai
kahāñ jām-e-ġham kī talḳhī kahāñ zindagī kā darmāñ
mujhe vo davā milī hai jo mirī davā nahīñ hai
tū bachā.e laakh dāman mirā phir bhī hai ye da.avā
tire dil meñ maiñ hī maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ hai
tumheñ kah diyā sitam-gar ye qusūr thā zabāñ kā
mujhe tum muaaf kar do mirā dil burā nahīñ hai
mujhe dost kahne vaale zarā dostī nibhā de
ye mutālba hai haq kā koī iltijā nahīñ hai
ye udaas udaas chehre ye hasīñ hasīñ tabassum
tirī anjuman meñ shāyad koī aa.inā nahīñ hai
mirī aañkh ne tujhe bhī ba-ḳhudā 'shakīl' paayā
maiñ samajh rahā thā mujh sā koī dūsrā nahīñ hai