nazar-navāz nazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
vo kyā ga.e ki bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
shab-e-firāq ko ai chāñd aa ke chamkā de
nazar udaas hai tāroñ meñ jī nahīñ lagtā
ġham-e-hayāt ke maare to ham bhī haiñ lekin
ġham-e-hayāt ke māroñ meñ jī nahīñ lagtā
na pūchh mujh se tire ġham meñ kyā guzartī hai
yahī kahūñgā hazāroñ meñ jī nahīñ lagtā
kuchh is qadar hai ġham-e-zindagī se dil māyūs
ḳhizāñ ga.ī to bahāroñ meñ jī nahīñ lagtā
fasāna-e-shab-e-ġham ḳhatm hone vaalā hai
'shakīl' chāñd sitāroñ meñ jī nahīñ lagtā