Shakeel Badayuni

sar bhi hai pa-e-yar bhi shauq-e-siwa ko kya hua

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
sar bhī hai pā-e-yār bhī shauq-e-sivā ko kyā huā
jur.at-e-dil kidhar ga.ī laġhzish-e-pā ko kyā huā
hasrat-e-afv kyā huī jurm-o-ḳhatā ko kyā huā
sāmne hai dar-e-karam dast-e-duā ko kyā huā
vaqf-e-mazāq-e-justujū dīda-o-dil haiñ ab kahāñ
manzil shauq-e-pā hī kī ġhairat-e-pā ko kyā huā
jazb-o-asar se ban gayā aur bhī dushman āsmāñ
kar diyā rāz-e-dil ayaañ āh-e-rasā ko kyā huā
kal to ba-hadd-e-shikva thiiñ ishq kī bad-gumāniyāñ
ab na nadāmateñ haiñ kyuuñ shikva-sarā ko kyā huā
shā.ir-e-bazm-e-aql-o-hosh haañ koī aur naġhma-sarosh
dil kī sadā hai kyuuñ ḳhamosh dil kī sadā ko kyā huā
yuuñ to hazār naqsh haiñ safha-e-kā.ināt par
us kā pata nahīñ magar naqsh-e-vafā ko kyā huā
gum-shuda-e-jamāl huuñ dil hī ko saath ai 'shakīl'
mujh ko bhī le ke kho gayā rāh-numā ko kyā huā
Top Urdushayar.com