ishq kā koī ḳhair-ḳhvāh to hai
tū nahīñ hai tirī nigāh to hai
arz-e-ġham kyuuñ na un se kar dekhūñ
ab bhī thoḌī sī rasm-o-rāh to hai
zindagī ik siyāh raat sahī
āshiqī ik charāġh-e-rāh to hai
roz-o-shab kī haqīqateñ ma.alūm
ik tamāshā-e-mehr-o-māh to hai
tāb-e-jalva mujhe nahīñ na sahī
lekin ik jur.at-e-nigāh to hai
aur iqbāl-e-jurm kyā ho 'shakīl'
thartharāte laboñ pe aah to hai