Shakeel Badayuni

KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ḳhush huuñ ki mirā husn-e-talab kaam to aayā
ḳhālī hī sahī merī taraf jaam to aayā
kaafī hai mire dil kī tasallī ko yahī baat
aap aa na sake aap kā paiġhām to aayā
apnoñ ne nazar pherī to dil tū ne diyā saath
duniyā meñ koī dost mire kaam to aayā
vo sub.h kā ehsās ho yā merī kashish ho
Duubā huā ḳhurshīd lab-e-bām to aayā
log un se ye kahte haiñ ki kitne haiñ 'shakīl' aap
us husn ke sadqe meñ mirā naam to aayā
Top Urdushayar.com