Shakeel Badayuni

hazar qaid-e-jawan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
hazār qaid-e-javāñ se chhuT kar bahār kā aasrā kareñge
bahār bhī ham qafas-zadoñ ko na raas aa.ī to kyā kareñge
ab aur is ke sivā na hogī qafas meñ taskīn-e-dil kī sūrat
chaman kī jānib nazar uThā kar kabhī kabhī hañs liyā kareñge
ye kyā ḳhabar thī ki shām-e-furqat mire liye sāzgār hogī
vo māh-o-anjum kī aaḌ le kar mire fasāne sunā kareñge
nigāh kī bandisheñ salāmat junūñ kī pābandiyāñ musallam
kahīñ bharam khul gayā to ai dil maiñ kyā karūñgā vo kyā kareñge
ye dekhnā hai ki ba.ad-e-tark-e-ta.alluqāt ai 'shakīl' kab tak
na koī ham par jafā karegā na ham kisī se vafā kareñge
Top Urdushayar.com