Kishwar Naheed

hari thi shaKH to baiTha na us pe panchhi kyun

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
harī thī shāḳh to baiThā na us pe panchhī kyuuñ
lage hai ujḌe hue ḳhvāb sī ye bastī kyuuñ
mujhe ḳhabar hai mire ghar meñ saañp āñkheñ haiñ
vagarna ġham ke ḳhazīne chhupā ke rakhtī kyuuñ
tumhī se tohmat-e-ālam ko nisbateñ mausūm
tumheñ ko kahte haiñ sab log sab se achchhī kyuuñ
ḳhizāñ ko mere hī ḳhvāboñ ke naam kyuuñ likkhā
zamīñ ne apnī ye daulat mujhī ko sauñpī kyuuñ
mirā vajūd bhī kyā kuchh ḳhudā se miltā hai
savāl-e-shak se hai begāna merī hastī kyuuñ
ye ashk silsila-e-jāñ ke bolte lab haiñ
chhupā ke daulat-e-nāyāb tum ne rakkhī kyuuñ
vajūd apnā kise kab aziiz thā 'nāhīd'
huī hai shaam se pahle hī shaam gahrī kyuuñ
Top Urdushayar.com