kisī ko jab nigāhoñ ke muqābil dekh letā huuñ
to pahle sar jhukā ke hālat-e-dil dekh letā huuñ
ma.āl-e-justuju-e-zauq-e-kāmil dekh letā huuñ
uThāte hī qadam āsār-e-manzil dekh letā huuñ
maiñ tujh se aur lutf-e-ḳhās kā tālib ma.āz-allāh
sitam-gar is bahāne se tirā dil dekh letā huuñ
jo maujeñ ḳhaas kar chashm-o-charāġh-e-dām-e-tūfāñ haiñ
maiñ un maujoñ ko ham-āġhosh-e-sāhil dekh letā huuñ
'shakīl' ehsās hai mujh ko har ik mauzūñ tabī.at kā
ġhazal paḌhne se pahle rañg-e-mahfil dekh letā huuñ