dil vahī dil jise nāshād kiye jaatā huuñ
ya.anī rah rah ke unheñ yaad kiye jaatā huuñ
sa.ī-e-zabt-e-ġham-e-bedād kiye jaatā huuñ
puḳhta-tar ishq kī buniyād kiye jaatā huuñ
dil ko vaqf-e-ġham-e-bedād kiye jaatā huuñ
apnā ghar aap hī barbād kiye jaatā huuñ
ek vo haiñ ki taġhāful se nahīñ un ko gurez
ek maiñ huuñ ki unheñ yaad kiye jaatā huuñ
kyā ye kam zulm hai kuchh ġhaur to kiije dil meñ
aap hañste haiñ maiñ fariyād kiye jaatā huuñ
bhuul kar ahd-e-guzishta kī hikāyāt 'shakīl'
dil ko har fikr se āzād kiye jaatā huuñ