Shakeel Badayuni

badle badle mere gham-KHwar nazar aate hain

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
badle badle mire ġham-ḳhvār nazar aate haiñ
marhale ishq ke dushvār nazar aate haiñ
kashtī-e-ġhairat-e-ehsās salāmat yārab
aaj tūfān ke āsār nazar aate haiñ
inqalāb aayā na jaane ye chaman meñ kaisā
ġhuncha-o-gul mujhe talvār nazar aate haiñ
jin kī āñkhoñ se chhalaktā thā kabhī rañg-e-ḳhulūs
in dinoñ mā.il-e-takrār nazar aate haiñ
jo sunā karte the hans hans ke kabhī nāma-e-shauq
ab mirī shakl se bezār nazar aate haiñ
un ke aage jo jhukī rahtī haiñ nazreñ apnī
is liye ham hī ḳhatā-vār nazar aate haiñ
dushman-e-ḳhū-e-vafā rasm-e-mohabbat ke harīf
vahī kyā aur bhī do-chār nazar aate haiñ
jins-e-nāyāb-e-mohabbat kī ḳhudā ḳhair kare
bul-havas us ke ḳharīdār nazar aate haiñ
vaqt ke pūjne vaale haiñ pujārī un ke
koī matlab ho to ġham-ḳhvār nazar aate haiñ
jā.eza dil kā agar lo to vafā se ḳhālī
shakl dekho to namak-ḳhvār nazar aate haiñ
roz-e-raushan meñ agar un ko dikhāo taare
vo ye kah deñge ki sarkār nazar aate haiñ
ham na badle the na badle haiñ na badleñge 'shakīl'
ek hī rañg meñ har baar nazar aate haiñ
Top Urdushayar.com