dil meñ kisī ḳhalish kā guzar chāhtā huuñ maiñ
jaisī bhī ho bas ek nazar chāhtā huuñ maiñ
ḳham ho ke phir na uTThe vo sar chāhtā huuñ maiñ
uTh kar jo ḳham na ho vo nazar chāhtā huuñ maiñ
hote hī tazkira koī aa jaa.e rū-ba-rū
itnā buland zauq-e-nazar chāhtā huuñ maiñ
merā sukūn shauq hai sab kuchh mire liye
nāloñ ko be-niyāz asar chāhtā huuñ maiñ
kyā pūchhte ho maqsad-e-iz.hār-e-ārzū
sharh-e-vafā pe naqd-o-nazar chāhtā huuñ maiñ
paiham ġham-e-firāq se ghabrā gayā hai dil
kuchh imtiyāz-e-shām-o-sahar chāhtā huuñ maiñ
jī chāhtā hai aag lagā duuñ naqāb meñ
jalvoñ se intiqām-e-nazar chāhtā huuñ maiñ
muhtāj-e-rāhbar huuñ jahāñ ḳhizr tak 'shakīl'
aisī bhī koī rāhguzar chāhtā huuñ maiñ