Shakeel Badayuni

latif pardon se the numayan makin ke jalwe makan se pahle

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
latīf pardoñ se the numāyāñ makīñ ke jalve makāñ se pahle
mohabbat ā.īna ho chukī thī vajūd-e-bazm-e-jahāñ se pahle
na vo mire dil se bā-ḳhabar the na un ko ehsās-e-ārzū thā
magar nizām-e-vafā thā qaa.em kushūd-e-rāz-e-nihāñ se pahle
har ek unvān-e-dard-e-furqat hai ibtidā sharh-e-mudda.a kī
koī batā.e ki ye fasāna sunā.eñ un ko kahāñ se pahle
masarrateñ rāzdār-e-ġham thiiñ masarratoñ meñ alam thā pinhāñ
jabhī to sehn-e-chaman meñ shāyad bahār aa.ī ḳhizāñ se pahle
samajh rahā thā ki nā-umīdī na parda-dār-e-umīd hogī
nazar uThā kar jo maiñ ne dekhā ġhubār thā kārvāñ se pahle
uThā jo miinā ba-dast-e-sāqī rahī na kuchh tāb-e-zabt baaqī
tamām mai-kash pukār uTThe yahāñ se pahle yahāñ se pahle
qasam fareb-e-nigāh-o-dil kī hameñ to us justujū ne khoyā
vahīñ thī dar-asl apnī manzil qadam uThe the jahāñ se pahle
azal se shāyad likhe hue the 'shakīl' qismat meñ jaur-e-paiham
khulī jo āñkheñ is anjuman meñ nazar milī āsmāñ se pahle
Top Urdushayar.com